Hindi Shayari, Fursat Na Mil Saki

Siyasat Ko Lahoo Peene Ki Aadat Hai,
Varna Mulk Mein Sab Khairiyat Hai.

सियासत को लहू पीने की लत है,
वरना मुल्क में सब ख़ैरियत है।

Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata,
Mayoos Mere Dil Se Sawali Nahi Jata,
Kaante Hi Kiya Karte Hain Phoolo Ki Hifazat,
Phoolo Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata.

Hindi Shayari, Fursat Na Mil Saki


जो तीर भी आता वो खाली नहीं जाता,
मायूस मेरे दिल से सवाली नहीं जाता,
काँटे ही किया करते हैं फूलों की हिफाज़त,
फूलों को बचाने कोई माली नहीं जाता।


Ek Aansoo Bhi Hukoomat Ke Liye Khatra Hai,
Tum Ne Dekha Nahi Aankhon Ka Samundar Hona.

एक आँसू भी हुकूमत के लिए ख़तरा है,
तुम ने देखा नहीं आँखों का समुंदर होना।

Siyasat Ki Dukaano Mein Roshni Ke Liye,
Jaroori Hai Ke Mulk Mera Jalta Rahe.

सियासत की दुकानों में रोशनी के लिए,
जरूरी है कि मुल्क मेरा जलता रहे।

Inn Se Umeed Na Rakh Hain Ye Siyasat Wale,
Ye Kisi Se Bhi Mohabbat Nahi Karne Wale.

इन से उम्मीद न रख हैं ये सियासत वाले,
ये किसी से भी मोहब्बत नहीं करने वाले।

Daulat Ki Chaah Thi Toh Kamane Nikal Gaye,
Daulat Mili To Hath Se Rishte Nikal Gaye,
Bachchon Ke Sath Rehne Ki Fursat Na Mil Saki,
Fursat Mili To Bachche Hi Ghar Nikal Gaye.

दौलत की चाह थी तो कमाने निकल गए,
दौलत मिली तो हाथ से रिश्ते निकल गए,
बच्चों के साथ रहने की फुर्सत न मिल सकी,
फुर्सत मिली तो बच्चे ही घर निकल गए।

Ai Siyasat Tu Ne Bhi Iss Daur Mein Kamal Kar Diya,
Gareebon Ko Gareeb Ameeron Ko Maala-Maal Kar Diya.

ऐ सियासत तूने भी इस दौर में कमाल कर दिया,
गरीबों को गरीब अमीरों को माला-माल कर दिया।

Waqt Kahta Hai Ki Phir Na Aaunga,
Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaunga,
Jeena Hai Toh Iss Pal Ko Jeele,
Shayad Main Kal Tak Na Ruk Paunga.

वक्त कहता है कि फिर नहीं आऊंगा,
तेरी आँखों को अब न रुलाऊंगा।
जीना है तो इस पल को जी ले,
शायद मैं कल तक न रुक पाऊंगा।

Na Jaane Kitni Ankahi Baatein,
Kitni Hasrate Saath Le Jayenge,
Log Jhoothh Kehte Hain Ke,
Khali Haath Aaye The Aur Khali Haath Jayenge.

ना जाने कितनी अनकही बातें,
कितनी हसरतें साथ ले जाएगें
लोग झूठ कहते हैं कि
खाली हाथ आए थे और खाली हाथ जाएगें।

Lade, Jhagde, Bhide, Kaate-Katein Shamsheer Ho Jayein,
Batein, Baantein, Chubhein Ek Doosre Ko Teer Ho Jayein,
Musalsal Qatl-o-Gaarat Ki Nayi Tasvir Ho Jayein,
Siyasat Chahti Hi Hum Aur Tum Kashmir Ho Jayein.

लड़ें, झगड़ें, भिड़ें, काटें, कटें, शमशीर हो जाएँ,
बटें, बाँटें, चुभे इक दुसरे को, तीर हो जाएँ,
मुसलसल कत्ल-ओ-गारत की नई तस्वीर हो जाएँ,
सियासत चाहती है हम और तुम कश्मीर हो जाएँ।

अब ना मैं हूँ, ना बाकी हैं ज़माने मेरे​,
फिर भी मशहूर हैं शहरों में फ़साने मेरे​,
ज़िन्दगी है तो नए ज़ख्म भी लग जाएंगे​,
अब भी बाकी हैं कई दोस्त पुराने मेरे।

Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,
Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,
Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.

Samjhne Hi Nahi Deti Siyasat Hum Ko Sachchai,
Kabhi Chehra Nahi Milta Kabhi Darpan Nahi Milta.

समझने ही नहीं देती सियासत हम को सच्चाई,
कभी चेहरा नहीं मिलता कभी दर्पन नहीं मिलता।

Kaanton Se Gujar Jata Hoon Daaman Ko Bachakar,
Phoolon Ki Siyasat Se Main BeGana Nahi Hoon.

काँटों से गुजर जाता हूँ दामन को बचा कर,
फूलों की सियासत से मैं बेगाना नहीं हूँ।

Bulandi Ka Nasha Simton Ka Jaadoo Tod Deti Hai,
Hawa Udate Huye Panchhi Ke Baajoo Tod Deti Hai,
Siyaasi Bhediyo Thhodi Bahut Ghairat Jaroori Hai,
Tawayaf Bhi Kisi Mauke Pe Ghunghroo Tod Deti Hai.

बुलंदी का नशा सिमतों का जादू तोड़ देती है,
हवा उड़ते हुए पंछी के बाज़ू तोड़ देती है,
सियासी भेड़ियों थोड़ी बहुत गैरत ज़रूरी है,
तवायफ तक किसी मौके पे घुंघरू तोड़ देती है।

Siyasat Iss Kadar Aawam Pe Ehsaan Karti Hai,
Aankhein Chheen Leti Hai Fir Chashme Daan Karti Hai.

सियासत इस कदर अवाम पे अहसान करती है,
आँखे छीन लेती है फिर चश्में दान करती है।

हाथ ख़ाली हैं तेरे शहर से जाते जाते,
जान होती तो मेरी जान लुटाते जाते,
अब तो हर हाथ का पत्थर हमें पहचानता है,
उम्र गुज़री है तेरे शहर में आते जाते।

Haath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate,
Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jate,
Ab Toh Har Haath Ka Patthar Humein Pehchanta Hai,
Umr Gujri Hai Tere Shahar Mein Aate Jate.

Falsafa Samjho Na Asraar-e-Siyasat Samjho,
Zindagi Sirf Hakiqat Hai Hakiqat Samjho,
Jaane Kis Din Hon Hawayein Bhi Neelam Yahan,
Aaj To Saans Bhi Lete Ho Ghaneemat Samjho.

फलसफा समझो न असरारे सियासत समझो,
जिन्दगी सिर्फ हकीक़त है हकीक़त समझो,
जाने किस दिन हो हवायें भी नीलाम यहाँ,
आज तो साँस भी लेते हो ग़नीमत समझो।

Phir Usi Ki Yaad Mein Dil Beqarar Hua Hai,
Bichhad Ke Jis Se Huyi Shahar Shahar Ruswayi.

फिर उसी की याद में दिल बेक़रार हुआ है,
बिछड़ के जिस से हुयी शहर शहर रुसवाई।

Kaise Kah Dun Ki Mujhe Chhod Diya Hai Usne,
Baat Toh Sach Hai Magar Baat Hai Ruswayi Ki.

कैसे कह दूँ कि मुझे छोड़ दिया है उसने,
बात तो सच है मगर बात है रुसवाई की।

Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhun,
Ek Jara Sher Kahun Aur Main Kya Kya Dekhun.

अपनी रुसवाई तेरे नाम का चर्चा देखूं,
एक जरा शेर कहूँ और मैं क्या क्या देखूं।

Kya Mila Tumko Mere Ishq Ka Charcha Karke,
Tum Bhi Ruswa Huye Akhir Mujhe Ruswa Kar Ke.

क्या मिला तुम को मेरे इश्क़ का चर्चा कर के,
तुम भी रुस्वा हुए आख़िर मुझे रुस्वा कर के।

Yahin Se Jaan Gaya Main Ki Waqt Dhalne Lage,
Main Thak Haar Ke Baitha To Pair Jalne Lage,
Jo De Raha Tha Sahaare To Ik Hajoom Mein Tha,
Jo Gir Pada To Sabhi Raasta Badalne Lage.

यहीं से जान गया मैं कि वक़्त ढलने लगे,
मैं थक हार के बैठा तो पैर जलने लगे,
जो दे रहा था सहारे तो इक हजूम में था,
जो गिर पड़ा तो सभी रास्ता बदलने लगे।

Ye Mehelon, Ye Takhton, Ye Tajon Ki Duniya,
Ye Insan Ke Dushman Samajon Ki Duniya,
Ye Daulat Ke Bhookhe Riwazon Ki Duniya,
Ye Duniya Agar Mil Bhi Jaye Toh Kya?

ये महलों ये तख्तों ये ताजों की दुनिया,
ये इंसान के दुश्मन समाजों की दुनिया,
ये दौलत ये भूखे रिवाजों की दुनिया,
ये दुनिया अगर मिल भी जाये तो क्या?

आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो,
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो,
एक ही नदी के हैं ये दो किनारे दोस्तो,
दोस्ताना ज़िंदगी से मौत से यारी रखो।

Aankhon Mein Pani Rakho Hontho Pe Chingari Rakho,
Zinda Rahna Hai Toh Tarkeebein Bahut Saari Rakho,
Ek Hi Nadi Ke Hain Yeh Do Kinare Dosto,
Dostana Zindagi Se Maut Se Yaari Rakho.

Teri Chahato Mein Ruswa Sare Bajar Ho Gaye,
Humne Hi Dil Khoya Hum Hi Gunahgar Ho Gaye.

तेरी चाहत में रुसवा यूँ सरे बाज़ार हो गये,
हमने ही दिल खोया और हम ही गुनहगार हो गये।

Jamaane Bhar Ki Ruswayian Aur Bechain Raatein,
Aye Dil Kuchh To Bata Ye Mazraa Kya Hai?

जमाने भर की रुसवाईयाँ और बेचैन रातें,
ऐ दिल कुछ तो बता ये माजरा क्या है।

Khulta Kisi Pe Kya Mere Dil Ka Muamla,
Shayaron Ke Intekhab Ne Ruswa Kiya Mujhe.

खुलता किसी पे क्या मेरे दिल का मामला,
शायरों के इन्तिखाब ने रुसवा किया मुझे।

Teri Saason Ki Aahat Ko Bhi Pehchanta Hun Main,
Mujhe Ruswa Kare Tu Iski Gunjaish Kahan Hai Ab.

तेरी साँसों की आहट को भी जब पहचानता हूँ मैं,
मुझे रुसवा करे तू इसकी गुंजाइश कहाँ है अब।

Kuchh Iss Tarah Se Ruswa Kar Diya Usne Mujhe,
Ke Saans Bhi Na Ruki Aur Maut Bhi Aa Gayi.

कुछ इस तरह से रुसवा कर दिया उसने मुझे,
कि साँस भी न रुकी और मौत भी आ गई।