Love Shayari, Hakiqat Ho Ya Fareb

Tum Hakiqat Ho Ya Fareb Meri Aankhon Ka,
Na Dil Se Nikalte Ho Na Zindagi Mein Aate Ho.

तुम हकीकत हो या फरेब मेरी आँखों का,
न दिल से निकलते हो न जिंदगी में आते हो।


Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Iss Qadar Toot Ke Chaaho Mujhe Pagal Kar Do.

न तुम्हें होश रहे और न मुझे होश रहे,
इस क़दर टूट के चाहो मुझे पागल कर दो।

Love Shayari, Hakiqat Ho Ya Fareb


Le De Kar Wahi Hai Iss Shahar Mein Apna,
Duniya Kahin Usko Bhi Samajhdar Na Kar De.

ले-दे कर वही है इस शहर में अपना,
दुनिया कहीं उसको भी समझदार न कर दे।


Tumhein Maloom Hai Ke Tum Wo Dua Ho Humari,
Jisko Umr Bhar Ke Liye Manga Hai Humne.

तुम्हें मालूम है कि तुम वो दुआ हो हमारी,
जिसको उम्र भर के लिए माँगा है हमने।


Chamka Na Karo Jugnoo Ki Tarha Raat Ko,
Le Jaunga Mutthi Mein Kisi Roz Chhupa Kar.

चमका न करो जुगनू की तरह रात को,
ले जाउंगा मुट्ठी में किसी रोज़ छुपा कर।


Tamaam Umar Apni Zindagi Se Door Rahe,
Teri Khushi Ke Liye Tujhse Door Rahe,
Ab Iss Se Badkar Wafa Ki Saza Kya Hogi,
Ki Tere Hokar Bhi Tujhse Door Rahe.

तमाम उम्र अपनी ज़िन्दगी से दूर रहे,
तेरी ख़ुशी के लिए तुझसे दूर रहे,
अब इससे बढ़कर वफ़ा की सज़ा क्या होगी,
कि तेरे होकर भी तुझसे दूर रहे।


Nahi Pasand Mohabbat Mein Milawat Mujhko,
Agar Wo Mera Hai To Khwab Bhi Bas Mere Dekhe.

नहीं पसंद मोहब्बत में मिलावट मुझको,
अगर वो मेरा है तो ख्वाब भी बस मेरे देखे।


Khwaab Aankhon Se Churana Meri Aadat Nahi,
Kisi Apne Ko Bhulana Meri Aadat Nahi,
Palkein Bhigo Leta Hoon Apno Ki Yaad Mein,
Magar Kisi Ko Rulana Meri Aadat Nahi.

ख़्वाब आँखों से चुराना मेरी आदत नहीं,
किसी अपने को भुलाना मेरी आदत नहीं,
पलकें भिगो लेता हूँ अपनों की याद में,
मगर किसी को रूलाना मेरी आदत नहीं।

Love Shayari, Hakiqat Ho Ya Fareb


Wo Poochhti Thi Aksar Maine Samjha Nahi,
Hum Kisi Aur Ke Ho Jayein To Kya Karoge?

वो पूछती थी अक्सर मैंने समझा नहीं,
हम किसी और के हो जाएं तो क्या करोगे?


Iss Qadar Musalsal Thin Shiddatein Judai Ki,
Aaj Pehli Baar Uss Se Maine Bewafai Ki

इस क़दर मुसलसल थीं शिद्दतें जुदाई की,
आज पहली बार उससे मैंने बेवफ़ाई की।


Mohabbat Mein Suno Tum Khud To Bewafa Ho,
Woh Jo Bichhda To Tum Mar Kyun Na Gaye?

मोहब्बत में सुनो तुम खुद तो बेवफा हो,
वह जो बिछड़े तो तुम मर क्यों न गए?


Shayari Mein SimatTe Kahan Hain Dil Ke Dard Dosto,
Behla Rahe Hain Khud Ko Jara Kagzon Ke Saath.

शायरी में सिमटते कहाँ हैं दिल के दर्द दोस्तों,
बहला रहे हैं खुद को जरा कागजों के साथ।


Hajaron Na Mukammal Hasraton Ke Bojh Tale,
Dil Ab Bhi Dhadakta Hai To Kamaal Karta Hai.

हजारों ना-मुकम्मल हसरतों के बोझ तले,
दिल अब भी धड़कता है तो कमाल करता है।


Barsaat Ke Aate Hi Tauba Na Rahi Baaqi,
Baadal Jo Nazar Aaye Badali Meri Niyat Bhi.

बरसात के आते ही तौबा न रही बाक़ी,
बादल जो नज़र आए बदली मेरी नीयत भी।


Barish Ke Baad Raat Aayine Si Thi,
Ek Pair Paani Mein Pada Aur Chaand Hil Gaya.

बारिश के बाद रात आईने सी थी,
एक पैर पानी में पड़ा और चाँद हिल गया।


In Mein Kya Farq Hai Ab Iss Ka Bhi Ehsaas Nahi,
Dard Aur Dil Ka Zara Dekhiye Ek Sa Hona.

इनमें क्या फ़र्क़ है अब इस का भी एहसास नहीं,
दर्द और दिल का जरा देखिये एक सा होना।


Badi Ajeeb Si Bandish Hai Uski Mohabbat Mein,
Na Woh Khud Qaid Kar Sake Na Hum Azaad Ho Sake.

बड़ी अजीब सी बंदिश है उसकी मोहब्बत में,
न वो खुद क़ैद कर सके न हम आज़ाद हो सके।


Daulat Ki Chaah Thi Toh Kamane Nikal Gaye,
Daulat Mili To Hath Se Rishte Nikal Gaye,
Bachchon Ke Sath Rehne Ki Fursat Na Mil Saki,
Fursat Mili To Bachche Hi Ghar Nikal Gaye.

दौलत की चाह थी तो कमाने निकल गए,
दौलत मिली तो हाथ से रिश्ते निकल गए,
बच्चों के साथ रहने की फुर्सत न मिल सकी,
फुर्सत मिली तो बच्चे ही घर निकल गए।

Love Shayari, Hakiqat Ho Ya Fareb


Kaash Ke Koi Aakar Sambhal Le Mujhko Baahon Mein,
Dheere-Dheere Khatm Ho Raha Hoon Main Bhi Decembar Ki Tarah.

काश कि कोई आकर संभाल ले मुझको बाँहो में,
धीरे धीरे खत्म हो रहा हूँ मैं भी दिसंबर की तरह।


Wo Dil Mein Tha Magar Najron Se Door Tha,
Ki Uski Yaad Mein Rona Bhi Manjoor Tha,
Bewafa Hai Wo Ye Keh Bhi Nahi Sake Hum,
Pyar To Humne Kiya Uska Kya Kasoor Tha.

वो दिल में था मगर नजरों से दूर था,
कि उसकी याद में रोना भी मंज़ूर था,
बेवफा है वो ये कह भी नहीं सके हम,
प्यार तो हमने किया उसका क्या कसूर था।

Fiza Mein Zeher Bhara Hai Jara Sambhal Kar Chalo,
Mukhaalif Aaj Hawa Hai Jara Sambhal Kar Chalo,
Koyi Dekhe Na Dekhe Buraiyaan Apni,
Khuda To Dekh Raha Hai Jara Sambhal Kar Chalo.

फ़िज़ा में ज़हर भरा है जरा संभल कर चलो,
मुखालिफ आज हवा है जरा संभल कर चलो,
कोई देखे न देखे बुराइयां अपनी,
खुदा तो देख रहा है जरा संभल कर चलो।


Barf Si Meri Hatheli Ko Thodi Garamaahat De Jaao,
Ki Aa Gaya Hai Decembar Sanam Tum Bhi Aa Jaao.

बर्फ़ सी मेरी हथेली को थोड़ी गरमाहट दे जाओ,
कि आ गया है दिसंबर सनम तुम भी आ जाओ।


Ye Decembar Bhi Beetega Pichhale Saal Ki Tarah,
Ise Bhi Tumhaari Tarah Rukne Ki Aadat Nahin.

ये दिसंबर भी बीतेगा पिछले साल की तरह,
इसे भी तुम्हारी तरह रुकने की आदत नहीं।


Jaise Saahil Se Chura Leti Hain Maujein Daaman,
Kitna Aasan Hai Tera Mujh Se Gurezaan Hona.

जैसे साहिल से चुरा लेती हैं मौजें दामन,
कितना आसान है तेरा मुझ से गुरेज़ाँ होना।

Iss Tark-e-Rafaqat Pe Pareshan To Hoon Lekin,
Ab Tak Ke Tere Sath Pe Hairat Bhi Bahut Thi.

इस तर्क-ए-रफ़ाक़त पे परेशान तो हूँ लेकिन,
अब तक के तेरे साथ पे हैरत भी बहुत थी।

Tark-e-Talluqat Ka To Mat Kaho Humein,
Tum Sa Kahan Koi Bhi Humari Najar Mein Hai.

तर्क-ए-ताल्लुक़ात का तो मत कहो हमें,
तुम सा कहाँ कोई भी हमारी नजर में है।


Laut Aao Ki Meri Saanse Ab Tinka-Tinka Bikharte Hain,
Kahin Meri Jaan Na Le Le Ye Pehli Shaam Decembar Ki.

लौट आओ कि मेरी साँसे अब तिनका-तिनका बिखरती हैं,
कहीं मेरी जान ना ले ले ये पहली शाम दिसंबर की।


Mujhe Kismat Se Shiqwa To Nahi Lekin Ai Khuda,
Wo Zindagi Mein Kyun Aaya Jo Kismat Mein Nahi Tha.

मुझे किस्मत से शिकवा तो नहीं लेकिन ऐ खुदा,
वो ज़िन्दगी में क्यों आया जो किस्मत में नहीं था।


Mohabbat Haar Ke Jeena Bahut Mushkil Hota Hai,
Usey Bas Itna Bata Dena Bharam Toda Nahi Karte.

मोहब्बत हार के जीना बहुत मुश्किल होता है,
उसे बस इतना बता देना भरम तोड़ा नहीं करते।

Love Shayari, Hakiqat Ho Ya Fareb


Chamak Yoon Hi Nahi Aati Hai Khuddari Ke Chehre Par,
Anaa Ho Humne Do-Do Waqt Ka Faaka Karaya Hai.

चमक यूँ ही नहीं आती है खुद्दारी के चेहरे पर,
अना को हमने दो-दो वक़्त का फाका कराया है।


Tamam Umar Isee Justajoo Main Gujri Hai,
Kabhi Samajh Mein Nahi Aaya Masahla Dil Ka.

तमाम उम्र इसी जुस्तजू में गुजरी है,
कभी समझ में नहीं आया मसहला दिल का।


Aaj Ro Pada Wo Bhi Meri Bebasi Dekh Kar,
Barbaad Karne Ki Mujhe Jisne Qasam Khayi Thi.

आज रो पड़ा वो भी मेरी बेबसी देख कर,
बर्बाद करने की मुझे जिसने क़सम खायी थी।


Aandhiyon Mein Bhi Jo Jalta Hua Mil Jayega,
Uss Deeye Se Puchhna Mera Pata Mil Jayega.

आँधियों में भी जो जलता हुआ मिल जाएगा,
उस दीये से पूछना, मेरा पता मिल जाएगा।

Haar Tab Hoti Hai Jab Maan Liya Jaye,
Jeet Tab Hoti Hai Jab Thaan Liya Jaaye.

हार तब होती है जब मान लिया जाये
जीत तब होती है जब ठान लिया जाये।


Kabhi Ro Ke Muskuraye, Kabhi Muskura Ke Roye,
Uski Yaad Jab Bhi Aayi, Usey Bhula Ke Roye,
Ek Uska Hi Naam Tha, Jise Hajaar Bar Likha,
Likh-Likh Ke Khush Hue, Usey Mita-Mita Ke Roye.

कभी रो के मुस्कुराए, कभी मुस्कुरा के रोए,
उसकी याद जब भी आई, उसे भुला के रोए,
एक उसका ही नाम था, जिसे हज़ार बार लिखा,
लिख-लिख के खुश हुए, उसे मिटा-मिटा के रोए।


Gujrti BeQarari Mein Na Kam Kar Umar Fir Sari,
Ke Hum Bhoole Se Kar Baithe Mohabbat Ek BeDil Se.

गुजरती बेक़रारी में न कम कर उम्र फिर सारी,
कि हम भूले से कर बैठे मोहब्बत एक बेदिल से।


Door Ho Jaayein Toh Jara Intezaar Kar Lena,
Apne Dil Mein Itna Toh Aitbaar Kar Lena,
Laut Ke Aayenge Hum Agar Kahin Chale Bhi Gaye,
Aap Bas Humse Dosti Barakaraar Kar Lena.

दूर हो जाएँ तो जरा इंतज़ार कर लेना,
अपने दिल में इतना तो ऐतबार कर लेना,
लौट के आयेंगे हम अगर कहीं चले भी गए,
आप बस हमसे दोस्ती बरकरार कर लेना।


Jo Log Maut Ko Zaalim Qarar Dete Hain,
Khuda Milaye Unhein Zindagi Ke Maaron Se.

जो लोग मौत को जालिम करार देते हैं,
खुदा मिलाये उन्हें ज़िन्दगी के मारों से।

Nasha Tha Zindagi Ka Sharaabon Se Tez-Tar,
Hum Gir Pade To Maut Utha Le Gayi Humein.

नशा था ज़िंदगी का शराबों से तेज़-तर,
हम गिर पड़े तो मौत उठा ले गई हमें।


Dil Ki Baatein Bata Jaati Hain Aankhein,
Dhadkano Ko Jaga Jaati Hain Aankhein,
Dil Pe Chalta Nahi Jaadu Chehron Ka Kabhi,
Dil Ko To Deewana Bana Jaati Hain Aankhein.

दिल की बातें बता जाती हैं आँखें,
धड़कनों को जगा जाती हैं आँखें,
दिल पे चलता नहीं जादू चेहरे का कभी,
दिल को तो दीवाना बना जाती हैं आँखें।


Wo Manzil Hi Badnaseeb Thi Jo Humko Paa Na Saki,
Varna Jeet Ki Kya Aukaat Jo Humein Thhukra De.

वो मंज़िल ही बदनसीब थी जो हमको पा न सकी,
वर्ना जीत की क्या औकात जो हमें ठुकरा दे।


Waqif Kahan Zamana Humari Udaan Se,
Wo Aur The Jo Haar Gaye Aasmaan Se.

वाक़िफ़ कहाँ ज़माना हमारी उड़ान से,
वो और थे जो हार गए आसमान से।


Bikta Hai Gham Hansi Ke Bazaar Mein,
Lakho Dard Chhupe Hote Hain Ek Chhote Se Inkaar Mein,
Wo Kya Samajh Payenge Pyar Ki Kashish Ko,
Jinhone Fark Hi Na Samjha Pasand Aur Pyar Mein.
Love Shayari, Hakiqat Ho Ya Fareb


बिकता है ग़म हँसी के बाजार में,
लाखों दर्द छुपे होते हैं एक छोटे से इंकार में,
वो क्या समझ पाएंगे प्यार की कशिश को,
जिन्होंने फर्क ही न समझा पसंद और प्यार में।


Humari Istiqamat Se To Ye Duniya Bhi Waqif Hai,
Na Humne Manzilein Badalien Na Hum Ne Yaar Badle Hain.


Har Sham Yeh Sawal Ki Mohabbat Se Kya Mila?
Har Sham Yeh Jawaab Ki Har Shaam Ro Pade.

हर शाम यह सवाल कि मोहब्बत से क्या मिला?
हर शाम यह जवाब कि हर शाम रो पड़े।

हमारी इस्तिक़ामत से तो ये दुनिया भी वाकिफ है,
न हमने मंज़िलें बदलीं न हम ने यार बदले हैं।


Hona To Wohi Hai Jo Muqaddar Mein Likha Hai,
Lekin Wo Mere Khwaab, Mere Khwaab, Mere Khwaab.

होना तो वही है जो मुकद्दर में लिखा है,
लेकिन वो मेरे ख्वाब, मेरे ख्वाब, मेरे ख्वाब।

Na Jaane Kaun Se Jhonke Mein Meri Khushboo Ho,
Tum Apne Ghar Ka Dareecha Sada Khula Rakhna.

न जाने कौन से झोंके में मेरी खुशबू हो,
तुम अपने घर का दरीचा सदा खुला रखना।


Iss Safar Mein Neend Aisi Kho Gayi,
Hum Na Soye Raat Thak Kar So Gayi.

इस सफ़र में नींद ऐसी खो गई,
हम न सोए रात थक कर सो गई।

Jaagne Ka Azaab Seh-Seh Kar,
Apne Andar Hi So Gaya Hoon Main.
जागने का अज़ाब सह-सह कर,
अपने अंदर ही सो गया हूँ मैं।


Wo Mujh Se Bichhda Toh Bichhad Gayi Zindagi,
Main Zinda Toh Raha Magar Zindon Mein Na Raha.

वो मुझसे बिछड़ा तो बिछड़ गई जिंदगी,
मैं ज़िंदा तो रहा मगर ज़िंदों में न रहा।


Koi Waada Nahi Fir Bhi Intezaar Hai,
Judaai Ke Bawazood Bhi Humein Tujhse Pyar Hai,
Tere Chehre Ki Udaasi De Rahi Hai Gawahi,
Mujh Se Bichhad Kar Tu Bhi BeQakaar Hai.

कोई वादा नहीं फिर भी इंतज़ार है,
जुदाई के बावजूद भी हमें तुझसे प्यार है,
तेरे चेहरे की उदासी दे रही है गवाही,
मुझसे बिछड़ कर तू भी बेकरार है।


Chehre Ka Kuchh Hissa Zahir-e-Naqab Karke,
Karte Hain Husn Wale Deedaar Mein Milaawat.

चेहरे का कुछ हिस्सा ज़ाहिर-ए-नक़ाब करके,
करते हैं हुस्न वाले दीदार में मिलावट।


Kisi Kali Kisi Gul Mein Kisi Chaman Mein Nahin,
Wo Rang Hai Hi Nahin Jo Tere Badan Mein Nahin.

किसी कली किसी गुल में किसी चमन में नहीं,
वो रंग है ही नहीं जो तेरे बदन में नहीं।


Kabhi Nadi Kabhi Sehra Dikhai Deta Hai,
Tumhari Aankhon Mein Kya-Kya Dikhai Deta Hai,
Main Kya Bataaun Abhi Kaun Paas Se Gujra,
Har Ek Chehra Tujh Sa Dikhai Deta Hai.

कभी नदी कभी सेहरा दिखाई देता है,
तुम्हारी आँखों में क्या-क्या दिखाई देता है,
मैं क्या बताऊँ अभी कौन पास से गुजरा,
हर एक चेहरा तुझ सा दिखाई देता है।

Love Shayari, Hakiqat Ho Ya Fareb


Tu Ne To Rula Ke Rakh Diya Ai Zindagi,
Ja Kar Poochh Meri Maa Se Kitna Laadala Tha Main.

तू ने तो रुला के रख दिया ऐ ज़िन्दगी,
जा कर पूछ मेरी माँ से कितना लाड़ला था मैं।


Dua Ko Haath Uthaate Huye Larazta Hoon,
Kabhi Duaa Nahin Maangi Thi Maa Ke Hote Huye.

दुआ को हाथ उठाते हुए लरज़ता हूँ,
कभी दुआ नहीं माँगी थी माँ के होते हुए।

Shahar Mein Jakar Parhne Wale Bhool Gaye,
Kis Ki Maa Ne Kitna Zewar Becha Tha.

शहर में जाकर पढ़ने वाले भूल गए
किसकी माँ ने कितना ज़ेवर बेचा था।


Roj Dhhalti Hui Shaam Se Darr Lagta Hai,
Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Darr Lagta Hai,
Jab Se Mila Hai Dhokha Iss Ishq Mein,
Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Darr Lagta Hai.

रोज ढलती हुई शाम से डर लगता है,
अब मुझे इश्क के अंजाम से डर लगता है,
जब से मिला है धोखा इस इश्क़ में,
तब से इश्क़ के नाम से भी डर लगता है।


Maut Se Pehle Bhi Ek Maut Hoti Hai,
Dekho Tum Kisi Apne Se Judaa Hokar.

मौत से पहले भी एक मौत होती है,
देखो तुम किसी अपने से जुदा होकर।

Also Read: